Dekhti hoon apni khidki se bahar,
Toh jahan, dooba dooba sa nazar aata hai…
Kuch insaan aur kuch anjaan…
Yahan sab nazar aata hai….
Un boondo ki tez raftaar se jab,
Mera aangan bheeg jata hai,
Kya kahu , ae naseeb tumse,
Mulakaton ka silsila qareeb aata hai…
Kuch yunhi machalti hui si wo saans,
Ajab se khel khelti wo aas….
Teri baahon ke hijaab mei chup jaana hai,
Sach, aaj mukaamal ho jana hai….
Us khuda ki nemat hai jo tum mile ho,
Kehdo toh hum bhi chale aayei,
Multavii kar dei is mahashar ko,
Aur, saaye mei tere yeh raat guzaar jayein…